maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe na dawa yaad rahe aur na dua yaad rahe tum jise yaad karo phir use kya yaad rahe na khudai ki ho parwa na khuda yaad rahe lotte saikdon nakhchir hain kya yaad rahe chir do sine mein dil ko ki pata yaad rahe raat ka wada hai bande se agar banda-nawaz band mein de lo girah ta ki zara yaad rahe qasid-e-ashiq-e-sauda-zada kya lae jawab jab na malum ho ghar aur na pata yaad rahe dekh bhi lena hamein rah mein aur kyun sahab hum se munh pher ke jaana ye bhala yaad rahe tere madhosh se kya hosh o khirad ki ho ummid raat ka bhi na jise khaya hua yaad rahe kushta-e-naz ki gardan pe chhuri phero jab kash us waqt tumhein nam-e-khuda yaad rahe khak barbaad na karna meri us kuche mein tujh se kah deta hun main baad-e-saba yaad rahe gor tak aae to chhati pe qadam bhi rakh do koi be-dil idhar aae to pata yaad rahe tera aashiq na ho aasuda ba-zer-e-tuba khuld mein bhi tere kuche ki hawa yaad rahe baz aa jaen jafa se jo kabhi aap to phir yaad aashiq ko na kijega bhala yaad rahe dagh-e-dil par mere phaha nahin hai angara chaaragar lijo na chutki se utha yaad rahe zakhm-e-dil bole mere dil ke namak-khwaron se lo bhala kuchh to mohabbat ka maza yaad rahe hazrat-e-ishq ke maktab mein hai talim kuchh aur yan likkha yaad rahe aur na padha yaad rahe gar haqiqat mein hai rahna to na rakh khud-bini bhule banda jo khudi ko to khuda yaad rahe aalam-e-husn khudai hai buton ki ai 'zauq' chal ke but-khane mein baitho ki khuda yaad rahe