ye aah-o-fughan kyun hai dil-e-zar ke aage kahte hain ki rote nahin bimar ke aage phir maut ka hai samna allah bachae phir dil liye jata hai sitamgar ke aage bikne ke liye aap na bazar mein aae bhijwa diya yusuf ko kharidar ke aage munim ko mubarak ye naqib aur jilau-dar allah hi allah hai nadar ke aage zid karte ho kyun tir na pahunchenge hadaf tak arman hazaron hain dil-e-zar ke aage sargarm-e-sukhan hun dil-e-warafta se is tarah jaise koi baaten kare diwar ke aage