maraz-e-ishq se achchha nahin insan hota ye wahi dard hai jis ka nahin darman hota dil-e-wahshat-zada kyon zulf ka khwahan hota ek to tha hi sidi aur pareshan hota ai falak kya hua gar hans liye do ek ghadi hum to jab jaante pura koi arman hota aur kuchh rozon jo minnat ki na badhti bedi tere diwanon se mamur bayaban hota ye na samjhe shab-e-wada hai qayamat hogi kya jab aate ki yahan dafn ka saman hota sahar-e-hijr janaza hi nikalta ghar se main musibat ka na khugar jo meri jaan hota zulm kaisa hi pas-e-marg wo karte lekin lash hoti meri aur kucha-e-jaanan hota mushaf-e-rukh mein usi ke ye sifat hai wallah do waraq ka bhi hai aaya kahin quran hota aaj-kal ghair se hai tujh ko jo ai zulm-pasand kash wo rishta-e-ulfat tera paiman hota is girani pe to majma hai ye diwanon ka qahr tha zulf ka sauda agar arzan hota war bas ek hi sine pe lagaya ai gul itne charke to lagata ki gulistan hota 'bazm' maddah bhi hai aap ka aur zakir bhi rahm kyon is pe nahin ai shah-e-mardan hota