maqtal mein aaj hausla dil ka nikal gaya sab apne panw se gae main sar ke bal gaya manzur dil ka tha unhen lena so le chuke ab kyon wo pas aaenge matlab nikal gaya qismat to dekhiye jo shab-e-wasl aai bhi shikwe shikayaton hi mein sab waqt tal gaya aate hi fasl-e-gul ke junun ka hua ye josh diwana un ka jame se bahar nikal gaya baqi hain baad-e-qatl bhi ulfat ki garmiyan dil ki tadap na kam hui go dam nikal gaya un ki nigah-e-qahr se ab kya bachega dil palta nahin jo tir kaman se nikal gaya is dar se nala kar nahin sakta firaq mein mar jaunga jo wo dil-e-nazuk dahal gaya kanton ki aablon se ghanimat thi nok jhonk wahshi ka tere dasht mein kuchh ji bahal gaya sabit-qadam hamin hain na ghairon ko munh lagao koi na hoga un mein se joban jo dhal gaya ai 'bazm' mujh se karte wo iqrar-e-wasl kya wo to ye kahiye un ki zaban se nikal gaya