maraz ghazal ka hai mujh ko zukaam thodi hai ki meri jaan mujhe koi kaam thodi hai na dekho itni hiqarat se ma-badaulat ko hai sar ka taj tumhaara ghulam thodi hai main kaise kar lun yaqin is mein hai nasha saqi ye aankh aankh hai daru-gudam thodi hai yatim-khane ka kar jaen sara mal hadap haram-khoron ke munh mein lagam thodi hai ghazal churana bhi aur padhna bhi dhadalle se kaleja chahiye aasan kaam thodi hai tere wajud ko kanta bana ke rakh dega ye gham ki goli hai beta badam thodi hai suna suna ke paka dunga kan mahfil ke mera kalam ye 'wahid' kalam thodi hai