munafiq dawa-e-iman mein sachcha ho nahin sakta ki gobar phir bhi gobar hai wo halwa ho nahin sakta jo khalis neta hai wade ka pakka ho nahin sakta ki jaise jeb mein ganje ke kangha ho nahin sakta jahan ke rustam-o-dara ke chhakke chhut jaenge musalman muttahid ho jaen to kya ho nahin sakta pahan kar burqa aatank-wadi lagti hain mahilaen jise tum parda kahte ho wo parda ho nahin sakta gadhe ko bap kahti hai ye duniya waqt padne par amal tu bhi kare is par to lafda ho nahin sakta mere ustad kahte the gadhe ki pith par 'wahid' kitaben lad dene se wo mulla ho nahin sakta