marhala tai koi be-minnat-e-jada bhi to ho gham badhe bhi to sahi dard ziyaada bhi to ho aisi mushkil to nahin dasht-e-wafa ki taskhir sar mein sauda bhi to ho dil mein irada bhi to ho zehn ka mashwara-e-tark-e-talab bhi bar-haq zehn ki baat qubul-e-dil-e-sada bhi to ho kahin baadal kahin suraj kahin saya kahin dhup mere mabud tera koi labaada bhi to ho pyar mein kam to nahin kam-nigahi bhi us ki han tunak-zarfi-e-ehsas kushada bhi to ho aashiqi sarmad-o-mansur se kuchh khas nahin mast lekin koi be-zahmat-e-baada bhi to ho zarf-e-iza-talabi gham bhi parakh len 'gauhar' us se ek roz na milne ka irada bhi to ho