dam-e-akhir bhi hum ne zaban se kuchh na kaha jahan se uth gae ahl-e-jahan se kuchh na kaha chali jo kashti-e-umr-e-rawan to chalne di ruki to kashti-e-umr-e-rawan se kuchh na kaha khata-e-ishq ki itni saza hi kafi thi badal ke rah gae tewar zaban se kuchh na kaha bala se khak hua jal ke aashiyan apna tadap ke rah gae barq-e-tapan se kuchh na kaha gila kiya na kabhi un se bewafai ka zaban thi lakh dahan mein zaban se kuchh na kaha khushi se ranj sahe 'naz' umr bhar hum ne khuda-gawah kabhi aasman se kuchh na kaha