marhale aise bhi aksar aae phul barsae to patthar aae ek faqat aap ke ho jaane se kitne ilzam mere sar aae jam thukra diye jab bhi main ne samne mere samundar aae ek chehre pe bashaarat na mili an-ginat chehron ko padh kar aae bhul jate hain parinde man ko jab bhi udne ko zara par aae aap ka shahr ki tha shahr-e-adab be-adab is mein bhi kuchh dar aae ishq mein 'taj' kashish ho aisi khud hi mahbub tadap kar aae