na jaane kitni riwayaten munhadim huin hain bapa jahan bhi hai shor-e-mahshar khada hua hun ye kaisa manzar hai us ko kis zawiye se dekhun ki khud bhi is daere ke andar khada hua hun ab is nazare ki tab laun to kaise laun wahi hai maidan wahi hai lashkar khada hua hun hazar tufan-e-barq-o-baran hain sahilon par liye hue ek shikasta langar khada hua hun