marhale to zist ke tai kar liye

marhale to zist ke tai kar liye
panw lekin aablon se bhar liye

ghar se bahar raushni thi muntazir
kaise kaise khushnuma manzar liye

aur kya dekhen ki wahshat ke sabab
phul dekhe hath mein patthar liye

dasht se ghar laut ke pachhtae hum
ghar bhi nikla dasht ka manzar liye

sikh duniya se takallum ka hunar
ek fiqra saikdon nashtar liye

ab zara tum bhi khuda ban kar dikhao
pattharo hum ne to sajde kar liye

naqsh hai 'khawar' usi ka shahkar
ulte-sidhe rang jis ne bhar liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close