jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai mehrban bhi koi ho jaega jaldi kya hai kho diya tum ko to hum puchhte phirte hain yahi jis ki taqdir bigad jae wo karta kya hai dil ka ek kaam jo hota nahin ek muddat se tum zara hath laga do to hua rakkha hai nigah-e-shokh mein aur dil mein hain choten kya kya aaj tak hum na samajh pae ki jhagda kya hai ishq se tauba bhi hai husn se shikwe bhi hazar kahiye to hazrat-e-dil aap ka mansha kya hai zinat-e-dosh tera nama-e-amal na ho teri dastar se waiz ye latakta kya hai han abhi waqt ka aaina dikhae kya kya dekhte jao zamana abhi dekha kya hai na yagane hain na begane teri mahfil mein na koi ghair yahan hai na koi apna hai nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm kuchh to is jam-e-laba-lab se abhi chhalka hai raat-din phirti hai palkon ke jo sae sae dil mera us nigah-e-naz ka diwana hai hum judai se bhi kuchh kaam to le hi lenge be-niyazana talluq hi chhuta achchha hai un se badh-chadh ke to ai dost hain yaaden in ki naz-o-andaz-o-ada mein teri rakkha kya hai aisi baaton se badalti hai kahin fitrat-e-husn jaan bhi de de agar koi to kya hota hai teri aankhon ko bhi inkar teri zulf ko bhi kis ne ye ishq ko diwana bana rakkha hai dil tera jaan teri aah teri ashk tere jo hai ai dost wo tera hai hamara kya hai dar-e-daulat pe duaen si suni hain main ne dekhiye aaj faqiron ka kidhar phera hai tujh ko ho jaenge shaitan ke darshan waiz dal kar munh ko gareban mein kabhi dekha hai hum kahe dete hain chaalon mein na aao un ki sarwat-o-jah ke ishwon se bacho dhoka hai yahi gar aankh mein rah jae to hai chingari qatra-e-ashk jo bah jae to ek dariya hai zulf-e-shab-gun ke siwa nargis-e-jadu ke siwa dil ko kuchh aur balaon ne bhi aa ghera hai lab-e-ejaz ki saugand ye jhankar thi kya teri khamoshi ke manind abhi kuchh tuta hai dar par gah nazar gah su-e-shahr-e-nigar kuchh sunen hum bhi to ai ishq irada kya hai aa ki ghurbat-kada-e-dahr mein ji bahlaen ai dil us jalwa-gah-e-naz mein kya rakkha hai zakhm hi zakhm hun main subh ki manind 'firaq' raat bhar hijr ki lazzat se maza luta hai