marham-e-zakhm-e-jigar ho jae ek aisi bhi nazar ho jae ek ishaara bhi agar ho jae is shab-e-gham ki sahar ho jae subh ye fikr ki ho jae sham sham ko ye ki sahar ho jae ho na itna bhi pareshan koi ki zamane ko khabar ho jae yun to jo kuchh bhi kisi par guzre dil na afsurda magar ho jae fikr-e-farda bhi karenge 'hairat' pahle ye shab to basar ho jae