sham-e-gham aur sitaron ke siwa ji sake hum na sahaaron ke siwa talkhi-e-akhir-e-shab kaun sahe hijr mein dard ke maron ke siwa be-rukhi bhi to baja hai lekin phul kya chiz hain kharon ke siwa kis ko fursat hai ki ho sair-e-chaman mah-ru shola-eazaron ke siwa rang duniya mein kai aur bhi hain bahki bahki si bahaaron ke siwa jaane jannat mein bhi kya rakkha hai aise hi shokh nazaron ke siwa zindagi sab ko sada deti hai han magar arz-guzaron ke siwa