marham nadamaton ka liye bad-hawas main

marham nadamaton ka liye bad-hawas main
ek zakhm-e-be-hisi ke raha aas-pas main

dekha jo chand chand ke daghon mein kho gaya
tere mizaj se hua jab ru-shanas main

meri kitab-e-ishq mein karta hai kya talash
dibacha-e-zawal ka hun iqtibas main

main kya mera wajud kya meri hayat kya
duniya-e-be-sabaat ka khali gilas main

meri hujum-e-gham se khalasi na ho saki
gham ka libas dil hai to dil ka libas main

mere bahut qarib thi taron ki anjuman
phir bhi kisi nigah ko aaya na ras main

kyunkar lage ho mera nasheman sanwarne
'irfan' tum ho khushk to bhigi kapas main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close