kati hai umr hamari bade azab ke sath tumhaari yaad ke aansu piye sharab ke sath jo aasman se utri hai rahbari ke liye wafaen ki hain kabhi tum ne us kitab ke sath isi liye to jawani mein sar jhuka ki tera shabab-e-husn bhi shamil rahe sawab ke sath chamakne wali kisi shai ka eatibar nahin diya to hum bhi jalate hain mahtab ke sath hamari aankh ke parde bhi ba-haya honge nazar uthe to nazar aaen sab hijab ke sath bani hai jashn-e-bahaaran mein qatl-e-gul ki faza hamein bhi rahna padega bade hisab ke sath