mari wafa ne khilae the jo gulab sare jhulas gae hain tumhaari aankhon mein jis qadar the wo khwab sare jhulas gae hain mari zamin ko kisi nae hadse ka hai intizar shayad gunah phalne lage hain ajr o sawab sare jhulas gae hain jo tum gae to meri nazar pe haqiqaton ke azab utre ye sochta hun ki kya karunga sarab sare jhulas gae hain ye moajiza sirf ek shab ki masafaton ke sabab hua hai tumhaare aur mere darmiyan ke hijab sare jhulas gae hain use batana ki us ki yaadon ke sare safhe jala chuka hun kitab-e-dil mein raqam the jitne wo bab sare jhulas gae hain nazar uthaun main jis taraf bhi muhib sae hain zulmaton ke ye kya ki mere nasib ke mahtab sare jhulas gae hain tumhaari nazron ki ye tapish hai ki mere lafzon pe aable hain sawal sare jhulas gae hain jawab sare jhulas gae hain ye aag khamoshiyon ki kaisi tumhaari aankhon mein tairti hai tumhaare honton pe darj the jo nisab sare jhulas gae hain