markaz-e-harf takallum tha bayan tak na hua ek tera zikr tha jo meri zaban tak na hua shauq-e-parwaz mein par tut gae tair ke wo yaqin tha ki mere dil ko guman tak na hua kya ajab turfa-tamasha hai teri basti mein main ne ek umr guzari hai makan tak na hua jis ke hone pe na hone ka guman hota hai wahi guldasta-e-jaan sarf-e-khizan tak na hua main ne duniya teri takhliq pe socha tha bahut raaz-e-gum-gashta-e-mahbub ayan tak na hua bas ki ab khatm hua silsila-e-soz-o-gudaz dil mera jal bhi gaya aur dhuan tak na hua zindagi harf-e-fana ke liye tahrik 'qamar' ruh baqi rahi aur koi ziyan tak na hua