marke kuchh zindagi ke yun bhi sar karta raha jo mukhalif the main un ke dil mein ghar karta raha yun main apni fikr-e-ahsan mo'atabar karta raha dushmanon ki sab khataen darguzar karta raha gar mohabbat jurm hai to dosto taslim hai main khataen is tarah ki umr bhar karta raha zindagi ki dhup ka ehsas kya hoga use chand taron ki jo chhanw mein safar karta raha shahr ke bahar bhi us ke nam ki ab dhum hai zindagi ko jo faqirana basar karta raha jo mere apnon mein tha us ne to kuchh socha nahin ghair to phir ghair tha zer-o-zabar karta raha zindagi se jab ziyaada maut thi mere qarib marhale aise bhi tai main be-khatar karta raha 'shauq' ye mana bahut dushwar tha sheri safar phir bhi fankaron pe tera fan asar karta raha