marne ka pata de mere jine ka pata de ai be-khabari kuchh mere hone ka pata de ek dusre ki aahaton pe chalte hain sab log hai koi yahan jo mujhe raste ka pata de khud aap se bichhda hun main is andhe safar mein ai tirgi-e-shab mere sae ka pata de is aas pe har aaine ko jod raha hun shayad koi reza mere chehre ka pata de guzri hai meri umr sarabon ke safar mein ai reg-e-rawan ab kisi chashme ka pata de har pal kisi aahat pe mere kan lage hain jaise abhi koi tere aane ka pata de bikhra hua hun sadiyon ki be-ant tahon mein mujh ko koi khoe hue lamhe ka pata de dahliz dilasa hai na diwar aman hai ai dar-badri mere thikane ka pata de hun qaid hisar-e-rag-e-girdab mein 'sarmad' koi nahin jo mujh ko kinare ka pata de