masafat-e-shab-e-hijran tawil likhte rahe

masafat-e-shab-e-hijran tawil likhte rahe
mile jo dard unhen sang-e-mil likhte rahe

hikayaten hi nahin likkhin aag ki hum ne
haqiqaten bhi ba-rang-e-khalil likhte rahe

jo qalb-o-jaan mein hai khushbu kisi ki zulfon ki
usi ko apni mata-e-jalil likhte rahe

rahi ye aas ki sairab hogi kisht-e-hayat
so jauhadon ko bhi dariya-e-nil likhte rahe

nikal saki na wahan ek bund bhi 'fakhir'
tamam-umr jin aankhon ko jhil likhte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close