masafat ki garan har ek saat tut jati hai teri chashm-e-inayat se aziyyat tut jati hai teri yaadon ki surat se nikalti hai ajab surat ujale yun baraste hain ki zulmat tut jati hai sada-e-haq-shanasi gasht karti rahti hai lekin zamana ye samajhta hai sadaqat tut jati hai bara-e-jazba-sazi kuchh dikhawa ho magar yaro riya-kari baratne se ibaadat tut jati hai ghazal mein jiddat-o-nudrat zaruri hai bahut 'amjad' magar fanni bukhalat se salasat tut jati hai