han mera haal hai barbaad magar main to nahin tujh ko karta hai koi yaad magar main to nahin barha khaliq-e-kaunain teri khidmat mein pahunchi hogi meri fariyaad magar main to nahin ahd-e-hazir mein lage misr ke bazaron mein bik gai hai meri rudad magar main to nahin kash hasti bhi meri dad ke qabil hoti sher lete hain mere dad magar main to nahin mohtaram log mujhe fan ke sabab jaante hain mohtaram hain mere ustad magar main to nahin dast-e-haidar se ghulami ki sanad jin ko mili honge wo hazrat-e-miqdad magar main to nahin sal ke sath badalna nahin aata 'kazim' han badal jate hain aadad magar main to nahin