masail sar uthae chal rahe hain bhari barsat mein hum jal rahe hain hum aise sokhta-dil log barson kisi ki aankh ka kajal rahe hain hujum-e-fasal-e-gul hai phir bhi hum log abhi kanton pe jaise chal rahe hain na jaane kitne shishe ke makan mein abhi farhad-o-majnun pal rahe hain tamannaon ki manzil tak bahut se hamari rah mein maqtal rahe hain kabhi hum rang-o-khushbu ban ke 'fakhir' kisi ke jism ka sandal rahe hain