tere sapne meri nindon ke barabar kar de tu mujhe apni wafaon se moattar kar de meri sanson ka yaqin aaj zara hone de ru-ba-ru aa ke mujhe chain mayassar kar de jis ne sahil ke har ek dard ko apnaya hai ai khuda tu mujhe waisa hi samundar kar de waqt deta hai bada zakhm to bharta bhi hai muskura ke tu zara khud ko gul-e-tar kar de dar-o-diwar bhi hai chhat bhi jharoka bhi hai ye makan hai tu zara aa ke use ghar kar de rah sunsan mujhe kaun dikhae manzil ek nazar dal mujhe mil ka patthar kar de apne pairon pe khadi ho ke main duniya dekhun ai khuda 'shad' ka qad aisa tanawar kar de