masala aaj mere ishq ka tu hal kar de pyar kar tut ke mujh se mujhe pagal kar de lut le mera sukun aur mujhe be-kal kar de yun simat aa meri banhon mein unhen shal kar de dekh kar pahli nazar mein jo umad aae the phir se jazbaat mein paida wahi halchal kar de ban ke ghanghor ghata mujh pe tu chha khul ke baras khushk sahra ko mere jism ke jal-thal kar de kis tarah waqt guzarta hai pata hi na chale ibtida aaj se kar aur use kal kar de tere bin mujh ko adhura sa lage apna wajud yun sama mujh mein mera jism mukammal kar de jhil aankhon ki meri jaan zara sadqa utar aur mere nam tu aankhon ka ye kajal kar de aur kuchh tujh se nahin mangta ai jaan-e-hayat waqt bas mere liye apna har ek pal kar de chahta hun ki na dekhen tujhe duniya wale sirf parde ke liye samne aanchal kar de qabl is ke mujhe jhulsa de ghamon ka suraj mujh pe tu apni siyah zulfon ka baadal kar de mere allah nazar bhar ke use dekh to lun phir tu chahe meri aankhon ko muqaffal kar de dub jaun main tere ishq-samundar mein 'nadim' apni sanson se meri sanson ko bojhal kar de