koi ahd-e-wafa bhula hua hun nahin kuchh yaad kya bhula hua hun khabar-giri karunga kya kisi ki main khud apna pata bhula hua hun agar mangon to shayad pa sakun kuchh magar harf-e-dua bhula hua hun khud apne shahr hi mein hun musafir main ghar ka rasta bhula hua hun mujhe hai yaad jo tujh se suna tha khud apna hi kaha bhula hua hun hun zinda is liye furqat mein ab tak ki nashsha wasl ka bhula hua hun duaen mangta hun sab ki khatir khud apna muddaa bhula hua hun gham-e-duniya gham-e-dauran gham-e-dil sabhi tere siwa bhula hua hun 'nadim' us ke bina jiwan ye mera jaza hai ya saza bhula hua hun