masarrat-bakhsh ho aah-e-sahar aisa bhi hota hai shab-e-furqat bhi ho jae bas aisa bhi hota hai bahut dekhe sitamgar fitna-parwar bazm-e-imkan mein magar duniya mein koi fitna-gar aisa bhi hota hai tumhaari chaarasazi kaam aa jae to kya kahna ye hota hai bahut hi kam magar aisa bhi hota hai ba-waqt-e-subh chashm-e-gul mein shabnam ye bhi hota hai fughan-e-nim-shab ka ye asar aisa bhi hota hai gulistan ki faza mein rang-o-nikhat dhundne walo rag-e-gul mein chhupe hon neshtar aisa bhi hota hai tammul kya hai manzar dawat-e-mizhgan kiye jao dawa khud dhund le zakhm-e-jigar aisa bhi hota hai