mere nalon ka hota hai khuda jaane asar kab tak meri duniya rahegi is tarah zer-o-zabar kab tak safar maslak mera mujh ko koi itna to samjhae ki is kuche mein hogi zindagi meri basar kab tak jihad-e-zindagi mein sakht-koshi shart-e-awwal hai ye soz-e-ishq take lazzat-e-dagh-e-jigar kab tak wahi majnun wahi laila wahi wamiq wahi azra main dohraata rahun qisse ba-andaz-e-digar kab tak jo rifat ki tamanna ho to jazb-o-shauq paida kar rahega is chaman mein tu rahin-e-baal-o-par kab tak gaya daur-e-jawani ab to 'manzar' hosh mein aao khumar-e-shab kahan tak lazzat-e-khwab-e-sahar kab tak