masarrat ka hamesha ek hi aalam nahin hota karam hota to hai un ka magar paiham nahin hota khushi ka gham jinhen hota hai samjho gham-nasib un ko jinhen gham ki khushi hoti hai un ko gham nahin hota na le jata jo majnun aalam-e-diwangi hum se to us ka zikr-e-khair afsana-e-alam nahin hota kahan hai tu burai se burai mit nahin sakti are ghafil andhere se andhera kam nahin hota yahi wo waqt hai jab aadmi ko hosh aata hai khuda ki yaad se ghafil dil-e-pur-gham nahin hota bura jab waqt aata hai to is duniya-e-ulfat mein koi monis nahin hota koi hamdam nahin hota tasalli se kabhi taskin-e-khatir ho nahin sakti junun-e-shauq badh jata hai is se kam nahin hota faza-e-bagh-e-hasti mein khizan bhi hai bahaaren bhi kahan khushiyan nahin hotin kahan matam nahin hota nibah aasan nahin duniya ki rasm-e-dost-dari ka koi dam-saz hota hai to hum mein dam nahin hota fana ke baad milta hai sukun-e-rahat-e-manzil jahan shiraaza-e-hasti kabhi barham nahin hota koi milta hai jab rah-e-talab mein rahbar-e-kaamil to hum ko duri-e-manzil ka bhi kuchh gham nahin hota hamare ek dam par ek dam jo kuchh guzarti hai mohabbat mein kabhi aisa to ai hamdam nahin hota tumhin imdad ko 'khushtar' ki aa jate ho mushkil mein sahaara jab koi ai sarwar-e-alam nahin hota