phir main un manzilon ka talib hun phir main us rah se guzarta hun ab main tujh ko sadaen kya dunga ab main khud ko talash karta hun har sada sun ke dil dhadakta hai mujh ko khamoshiyon se dahshat hai kya karun samna jahan ka ab jab main parchhaiyon se darta hun meri hasti ajib hai ya-rab ab mujhe khud pe ikhtiyar nahin aalam-e-be-khudi mein jita hun main gham-e-ashiqi mein marta hun ab ke din kuchh siyah lagta hai ab ke tare bujhe bujhe se hain zakhm kha kar main muskuraata hun jab sukun paun aah bharta hun