masarraton ka khila hai har ek samt chaman magar ye dil ki hai phir bhi qatil-e-ranj-o-mehan bade sukun se zulfen sanwarne wale kisi ki zist na ban jae mustaqil uljhan mere junun pe rahe log mo'tariz lekin na dekhe aah kisi ne tere khutut-e-badan abhi to harf-e-tamanna ka zikr tak bhi nahin abhi na dal khuda ke liye jabin pe shikan dil-e-fasurda mein yun teri yaad aai hai shab-e-siyah mein jis tarah raushni ki kiran ye kis ne jhum ke masti mein li hai angdai fusun-taraaz hai ye kis ka rang-e-pairahan guzar gaya hai zamana magar mujhe 'rifat' hai ab bhi yaad kisi ki nigah-e-tauba-shikan