kya la-makan se aage zamin aasman hain aur kya kuchh makin bhi aur hain kya kuchh makan hain aur sahil nahin mila magar itna pata chala is bahr mein jazire kai be-nishan hain aur jhukti hain jin ke aage mukhalif hawaen bhi wo kashtiyan hi aur hain wo baadban hain aur sahra jo mauj-e-reg hua kuchh bhi gham nahin dariya mein bhi tumhaare qadam ke nishan hain aur un se mukalima tha muqaddar tamam-umr apni zaban aur wo ahl-e-zaban hain aur betab kaamyab hue hum hazar bar har bar ye suna ki abhi imtihan hain aur