masarraton ke ewaz jo yaron KHamoshiyon ke rafiq honge

masarraton ke ewaz jo yaron khamoshiyon ke rafiq honge
hamein pata hai wahi tumhaari mohabbaton mein ghariq honge

ai ham-safar sun gai ruton ki muhib shab mein bichhad ke mujh se
na socha tu ne ki teri furqat ke dasht kitne amiq honge

jo zard rut ki hirasaton mein hayat apni guzarte hain
wo log ek din tu dekh lena udasiyon ke fariq honge

khulus-o-chahat wafa mohabbat ko dekhti hun to sochti hun
har aane wali sadi mein hamdam ye taur kis ke tariq honge

main pas aa kar habib tere khamosh lab se yahi kahungi
jo izzaton ko bigad dalen wo log kaise shafiq honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close