masarraton ke khazane hi kam nikalte hain kisi bhi sine ko kholo to gham nikalte hain hamare jism ke andar ki jhil sukh gai isi liye to ab aansu bhi kam nikalte hain ye karbala ki zamin hai ise salam karo yahan zamin se patthar bhi nam nikalte hain yahi hai zid to hatheli pe apni jaan liye amir-e-shahr se kah do ki hum nikalte hain kahan har ek ko milte hain chahne wale nasib walon ke gesu mein kham nikalte hain jahan se hum ko guzarne mein sharm aati hai usi gali se kai mohtaram nikalte hain tumhi batao ki main khilkhila ke kaise hansun ki roz khana-e-dil se alam nikalte hain tumhaare ahd-e-hukumat ka saneha ye hai ki ab to log gharon se bhi kam nikalte hain