wo barg-e-KHushk tha aur daman-e-bahaar mein tha

wo barg-e-khushk tha aur daman-e-bahaar mein tha
numud-e-nau ki bashaarat ke intizar mein tha

meri rafiq-e-safar thin hasad bhari nazren
wo aasman tha aur mere ikhtiyar mein tha

bikhar gaya hai to ab dil nigar-khana hai
ghazab ka rang us ek naqsh-e-e'tibar mein tha

ab aa gaya hai to viraniyon par tanz na kar
tera makan isi ujde hue dayar mein tha

likhe the nam mere qatl karne walon ke
ajib baat hai main bhi isi shumar mein tha

mujhe tha zoam magar main bikhar gaya 'mohsin'
wo reza reza tha aur apne ikhtiyar mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close