mashhur chaman mein teri gul pairahani hai

mashhur chaman mein teri gul pairahani hai
qurban tere har uzw pe nazuk-badani hai

uryani-e-ashufta kahan jae pas-az-marg
kushta hai tera aur yahi be-kafni hai

samjhe hai na parwana na thame hai zaban shama
wo sokhtani hai to ye gardan-zadani hai

leta hi nikalta hai mera lakht-e-jigar ashk
aansu nahin goya ki ye hire ki kani hai

bulbul ki kaf-e-khak bhi ab hogi pareshan
jame ka tere rang sitamgar chimani hai

kuchh to ubhar ai surat-e-shirin ki dikhaun
farhad ke zimme bhi ajab koh-kani hai

hon garm-e-safar sham-e-ghariban se khushi hon
ai subh-e-watan tu to mujhe be-watani hai

har-chand gada hun main tere ishq mein lekin
in bul-hawason mein koi mujh sa bhi ghani hai

har ashk mera hai dur-e-shahwar se behtar
har lakht-e-jigar rashk-e-aqiq-e-yamani hai

bigdi hai nipat 'mir' tapish aur jigar mein
shayad ki mere ji hi par ab aan bani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close