tasawwur teri surat ka mujhe har shab satata hai kabhu pas aae hai mere kabhu phir bhag jata hai khuda jaane tujhe us ki khabar hai ya nahin zalim ki wo ek aan mein kya kya samayn mujh ko dikhata hai balaen us ki main leta hun chat chat uth ke jis saat meri chaalakiyon ko dekhe hai aur muskuraata hai jo uthta hun to kahta hai kidhar jata hai idhar aa jo baithun hun to kahta hai ki main jata hun aata hai jo rota hun to kahta hai tu kyun rota hai diwane jo sar zanu pe rakhta hun to hathon se uthata hai jo jagun hun to kahta hai kahin ab so bhi rah nadan jo sota hun to chutki le ke ek dil mein jagata hai kabhi ho jae hai ghaeb nazar se baat ke kahte kabhi phir samne ho kar khada baaten banata hai kabhi dikhlae hai pinde ka lutf aur gat ka aalam kabhi nazdik aa baalon ki apne bu sunghata hai gharaz ai 'mushafi' main kya kahun shab-ta-sahar yu hain na us ko chain aata hai na mujh ko chain aata hai