mashhur hain dinon ki mere be-qarariyan jati hain la-makan ko dil-e-shab ki zariyan chehre pe jaise zakhm hai nakhun ka har kharash ab didani hui hain meri dast-kariyan sau bar hum ne gul ke gae par chaman ke beach bhar di hain aab-e-chashm se raaton ko kiyariyan kushte ki us ke khak bhare jism-e-zar par khali nahin hain lutf se lohu ki dhaariyan turbat se aashiqon ke na utha kabhu ghubar ji se gae wale na gain raaz-dariyan ab kis kis apni khwahish-e-murda ko roiye thin hum ko is se sainkadon ummidwariyan padhte phirenge galiyon mein in rekhton ko log muddat rahengi yaad ye baaten hamariyan kya jaante the aise din aa jaenge shitab rote guzartiyan hain hamein raaten sariyan gul ne hazar rang-e-sukhan sar kiya wale dil se gain na baaten teri pyari pyariyan jaoge bhul ahd ko farhad-o-qais ke gar pahunchen hum shikasta-dilon ki bhi bariyan bach jata ek raat jo kat jati aur 'mir' katen thin kohkan ne bahut raaten bhaariyan