tere munh chhupate hi phir mujhe khabar apni kuchh na zari rahi na firaq tha na visal tha rahi ek to be-khabari rahi tu hamesha ai but-e-mah-laqa raha mahw apni hi shakl ka tere aks-e-husn ki aarasi tere samne hi dhari rahi tere ahd-e-husn mein yak zaman na junun se mujh ko mili aman wahi nala aur wahi fughan wahi mashq-e-jama-dari rahi koi howe kyunke na tang-dil tere dil mein ai but-e-sang-dil asar aah apni ne ye kya ki rahin-e-be-asari rahi na khat aae par bhi kami padi teri shan-e-husn mein yak zari wahi qad ki fitnagari rahi wahi rukh ki jalwagari rahi kabhi dil liya kabhi din liya kabhi zar liya kabhi sar liya yunhi apni muft-dahi rahi wahi us ki muft-bari rahi na kamal-e-auj se tu gira kabhi fikr-e-sher mein 'mushafi' ghazal aur bhi kahi tu ne gar wahi teri tez-pari rahi