mashuq hamein baat ka pura nahin milta

mashuq hamein baat ka pura nahin milta
dil jis se milaen koi aisa nahin milta

duniya mein agar dhundiye to kya nahin milta
sab milte hain ek chahne wala nahin milta

ushshaq se yun aankh tumhaari nahin milti
aghyar se dil jaise hamara nahin milta

rahti hai kasar ek na ek baat ki sab mein
hum ko to in achchhon mein bhi achchha nahin milta

kuchh haal sune kuchh hamein tadbir batae
gham-khwar to kaisa koi itna nahin milta

kya muft mein tum dil ke kharidar bane ho
be-kharch kiye dam ye sauda nahin milta

jab dekhiye hamrah hai dushman ka tasawwur
hum se to wo khalwat mein bhi tanha nahin milta

dil koi milata nahin tute hue dil se
duniya mein hamein jod hamara nahin milta

barbaad kiya yas ne yun khana-e-dil ko
dhunde se bhi ab dagh-e-tamanna nahin milta

jo baat hai duniya se nirali hai nai hai
andaz kisi mein bhi tumhaara nahin milta

aankhen kahe deti hain ki dil saf nahin hai
milta hai wo is rang se goya nahin milta

kahte hain jalane ko hum aghyar ke munh par
aison se to wo rashk-e-masiha nahin milta

zahir hai mulaqat hai baatin mein judai
tum milte ho dil hum se tumhaara nahin milta

afsos to ye hai ki tumhein qadr nahin hai
aashiq to zamane mein bhi dhunda nahin milta

kahna wo shararat se tera dil ko chura kar
kya dhundte ho hum se kaho kya nahin milta

'bekhud' nigah-e-lutf pe de daliye dil ko
jo milta hai sarkar se thoda nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close