tum agar chaho kabhi biphra samundar dekhna chaudhwin mein tum meri aankhon ka manzar dekhna jo hawale se mere mahfil mein pahchane gae zikr par mere unhi logon ke tewar dekhna zakhm gin kar kya karoge kar-e-jaan-sozi hai ye jo pade honge abhi raste mein patthar dekhna log kahte hain ki tum patthar ho insan to nahin ab to majburan padega tum ko chhu kar dekhna aaj tak bhi maslahat-koshi hamein aai nahin hai yahi to ek khami apne andar dekhna us ko ab hum zulm samjhen ya ki gham-khwari teri khud rulana aur phir hamdard ban kar dekhna ye na ho ki na-mukammal hi rahe manzil ka khwab tez-raftari mein lag jati hai thokar dekhna jab khade honge ye sab firaun mulzim ki tarah wo adalat jo lagegi roz-e-mahshar dekhna