masil-e-sail-e-rawan dasht-o-ju mein guzri hai hayat hijr ke tauq-e-gulu mein guzri hai wahi to meri mata-e-hayat hai jaanan jo ek sans teri justuju mein guzri hai gulon ko dasht ki viranagi nahin malum ki un ki zist faqat rang-o-bu mein guzri hai kiya tha daman-e-dil chaak be-rukhi ne teri hayat sari hi kar-e-rafu mein guzri hai tamam umr ki hasrat ka de gai tohfa wo ek ghadi jo teri aarzu mein guzri hai wo ek baat jo kahni thi kah nahin pae agarche wasl ki shab guftugu mein guzri hai rahi hai girya-kunan chashm-e-na-rasa daim hayat chehre ki sari wuzu mein guzri hai