masjidon ke sahn tak jaana bahut dushwar tha dair se nikla to mere raste mein dar tha dekhte hi dekhte shahron ki raunaq ban gaya kal yahi chehra hamare aainon par bar tha apni qismat mein likhi thi dhup ki naraazgi saya-e-diwar tha lekin pas-e-diwar tha sab ke dukh sukh us ke chehre par likhe pae gae aadmi kya tha hamare shahr ka akhbar tha ab mohalle bhar ke darwazon pe dastak hai nasib ek zamana tha ki jab main bhi bahut khuddar tha