rifaqat mein rafiqon ki riya-kari bhi shamil hai meri aasaniyon mein kar-e-dushwari bhi shamil hai ba-juz taswir-e-gul ke bagh mein dekhun to kya dekhun aqidat ke asar mein khud se be-zari bhi shamil hai naqahat ka hai ghalba so jhuka dete hain sar apna itaat ke amal mein apni lachaari bhi shamil hai musalsal band aankhon se manazir dekhta hun main khayal-o-khwab mein ehsas-e-bedari bhi shamil hai ayan hote hain ab mujh par kamal-o-fan ke sab jalwe gham-e-khashak mein lagta hai chingari bhi shamil hai kabhi wo khun bahata hai kabhi aansu bahata hai adawat ki ada mein tarz-e-gham-khwari bhi shamil hai samajhne sochne se hi nahin milti mujhe fursat meri masrufiyat mein shaghl-e-be-kari bhi shamil hai gadaon ko taraste hain sabhi jah-o-hasham wale amiri ki ata mein lutf-e-nadari bhi shamil hai na jita hai na marta hai ajab insan hai 'rahat' nai bimariyon mein ab ye bimari bhi shamil hai