maskan wahin kahin hai wahin aashiyan kahin do aade sidhe rakh liye tinke jahan kahin phulon ki sej phulon ki hain baddhiyan kahin kanton pe hum tadapte hain o aasman kahin jate kidhar ho tum saf-e-mehshar mein khair hai daman na ho khuda ke liye dhajjiyan kahin pahra bitha diya hai ye qaid-e-hayat ne saya bhi sath sath hai jaun jahan kahin bas mujh ko dad mil gai mehnat wasul hai sun le ghazal ye bulbul-e-hindustan kahin 'shair' wo aaj phir wahin jate hue mile dushman ke sar pe tut pade aasman kahin