rukhsat-e-yar ka mazmun ba-mushkil bandha dil na bandhta tha kisi taur bada dil bandha hum ne bhi bandh liya zist ka asbab wahin jab suna yar-e-safar-dar ne mahmil bandha hum ne us chehre ko bandha nahin mahtab-misal hum ne mahtab ko us rukh ke mumasil bandha aur kya bandhte saman mein ba-hangam-e-safar sirf daman mein khas-e-kucha-e-qatil bandha hum jo har gam se paiman-e-wafa bandhte the aakhirash hum ne bhi azm-e-sar-e-manzil bandha