maslahat-KHu kab hua hai aaina

maslahat-khu kab hua hai aaina
sach hi sach bas bolta hai aaina

aaj mere doston ki khair ho
be-tarah mujh par mita hai aaina

ek chaukidar hai apna zamir
ek nigahban ban gaya hai aaina

aashna sirat ki khushbu se nahin
husn-e-zahir par fida hai aaina

khud-pasandi is qadar achchhi nahin
samne har dam dhara hai aaina

badla mausam mere chehre ka magar
phul ban kar khil gaya hai aaina

tum se jab tark-e-talluq kar liya
dil to dil mujh se khafa hai aaina

mujh se sargoshi si kar ke kan mein
mahw-e-hairat kar gaya hai aaina

kis tarah kar lun haqiqat mein qubul
ek khalish si de gaya hai aaina

jab bhi dekhun ru-ba-ru hai koi aur
jaise sazish kar raha hai aaina

baat dil ki ghaur se sunta hai ye
raazdan mera bana hai aaina

tut kar 'rumi' wo salim hi raha
mujh ko tukde kar gaya hai aaina


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close