ye be-ghari ye samundar ye raushni dil ki akele baith ke socha kiye hain mahfil ki ghadi jo bit gai us ka bhi shumar kiya nisab-e-jaan mein teri khamushi bhi shamil ki main haq-parast hun lekin mujhe bhi hairat hai shikast, wo bhi isi daur mein ho baatil ki? hamara daur mukammal nahin hua lekin talash-e-rah na koi talab hai manzil ki sujhai de na saka rasta khayalon ka dikhai de na saki raushni muqabil ki