masruf hum bhi anjuman-araiyon mein the ghar jal raha tha log tamashaiyon mein the kitni jarahaten pas-e-ehsas-e-dard thin kitne hi zakhm ruh ki gahraiyon mein the kuchh khwab the jo ek se manzar ka aks the! kuchh shobade bhi us ki masihaiyon mein the tapti zamin pe udte bagulon ka raqs tha sat aasman qahr ki purwaiyon mein the is tarah khair o shar mein kabhi ran pada na tha kitne hi hadse meri paspaiyon mein the khilqat pe sadgi ka main ilzam kya dharun jitne shigaf the meri danaiyon mein the aashob-e-zat se nikal aaya tha ek jahan hum qaid apni qafiya-paimaiyon mein the